Header Ads

test

The largest black hole in the universe

Hello dosto , aaj fir se aapke liye ek bahut hi important post lekar aaya hu.... Sayad aapko ye post mazak lag sakta hai ya aapko aisa lage ki mai aapko darane ki kosis kr raha hu.... Magar Dosto mai aapko darana nahi chahta jo news aayi hai aur jo sach hai wahi mai aapko batana chahunga😊 To chaliye dosto mai important baat batana start krta hu......
Dosto scientist ne universe me ek black hole khoj nikala hai jo ki bahut tezi se badh raha hai.... Is black hole ka naam #kasar_black_hole rakha hai scientist ne.... Australian national university ne is black hole ke baare me kuchh baate batayi hai wo mai aapko batata hu.... Jab pura universe ek andhere me ghira hua rehta tha tab is black hole ka aakar 20 billions suraj  ke barabar tha.... Aur ye blackhole har 10 years me 1% ki rate se badh rahi thi.. magar scientist ne ab ye bola hai ki ye haal ke dino me bahut tezi se badh rahi hai.... Ye black hole har do din me ek suraj jitne khagoliya pind ko apne andar sama skta hai ya nigal skta hai....
Australian national university ke ek scientist christian wolf ne bataya hai ki... Is black hole ka aakar bahut tezi se badh rha hai aur is black hole ki chamak humare milkyway se kaafi jyada hai....unhone isi baat ko aage badhate hue kaha ki agar ye black hole milky way me sthapit ho jaata hai to ye humare moon se 10× jyada roshni dega aur ye humare aasman se sabhi taaro ki roshni ko khatm kar sakta hai.... Ye black hole kaafi jyada maatra me UV rays and X-rays chhodta h jo ki humare liye haanikarak hai aur isi karan inka kehna hai agar milkyway me ye sthapit ho jaata hai to prithvi se jindagi khatm kar skta hai😂😂😂
😂😂😂😂Jindagi to hum khatm kardenge inki kya jarurat ...Thanks sabka post padhne ke liye

No comments